Bewafi sms
Sunday, December 6th, 2009Bewafi sms
vafa k khvab muhabbat ka asara le ja
agar chala ha to jo kuch mujhe diya le ja
nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota ha
‘Faraz’ jan k evaz abaru bacha le ja.
*****************
wafa ky shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise patthar bana liya main ne
ye soch kar k na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne
*****************
dil ki bat labon par lakar ab tak ham dukh sahte hain
ham ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain
bit gaya sawan ka mahina mausam ne nazren badli
lekin in pyasi ankhon mein ab tak ansu bahte hain..
*****************
chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yadein a jati hain mujhko rulane sham dhale
teri zulfein in kandhon par tera chehra hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitne khwab suhane sham dhale..
*****************
Ab tu nahi sanam to tari yaadain he sahi
In yadoon main chupi hui haseen raatain he sahi
Tha zindagi main ik tary sath ka he sahara
Jo ab wo nahi to tary jhutay waday he sahi
*****************
Dil ky kareeb a kar wo door ho gy
Sary haseen khawab choor ho gy
hum ny wafa nabhai to bandagi mili
Wo bewafai kar ky b mashoor ho gy
*****************
Mary kareeb nahi mujh say juda b ni
yah raaz magr un par abi khula b ni
Suna hay un ko passand a gai hay khamoshi humari
Is khayal say hum nay unhain kuch kaha he ni
*****************
Muskurake hum apna dard chipate hain
Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain
Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar
Aaj humein sab begaana batate hain
*****************
Rozz miltay ho roz bicher jaatay ho
Naa sudhartay ho bohat satatay ho
Rozz eik tamashaa sa laga rehtaa hey dil mai
Rozz bholtay ho roz yaad atay ho.
*****************
Muhabbat kaa ajeeb kaarobaar hum nay kia
Wo baywafa sai magar piyar hum nay kia
agar wo chor gaya tou mat kaho bura usko
Qasoor us ka nahi Eitabaar hum nay kiya!!!!!!!!!!!
*****************
Waqt kee aandhee main tufean badal jatay hain,
Zindagi ki raahon main INSAAN badal jatay hain,
Badaltaa nai PYAAR kabhee,
Pyaar karnay walay INSAAN badal jatay hain?
*****************